Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwaja Sari Saqti

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ki wiladat ba saadt 155Hijri mein Iraq ke shehar Baghdad mein hui. Aap ka ism e graami Hazrat Sari al Deen al marof  Sari Saqti Rahmatullah Alayh aur kuniat Abu al Hasan thi. Kyunkay aap dokaan daari kiya karte they is liye Sari Saqti Rahmatullah Alayh ke naam se mashhoor hue. Aap ke waalid ka ism e graami Hazrat Muglis tha .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

                        Peechay wala mazaar Hazrat Sari Saqti Rahmatullah Alayh ka hai

Aik roz Hazrat Habib Rahmatullah Alayh ka guzar aap ki dokaan se howa. Aap ne mein taqseem karne wali rooti ke tukray paish kiye. Unhon ne aap ko dua se nawaza aur kaha ke Khuda tujhe neki ki tofeeq day. Bas isi din se aap ka dil duniya ki raghbat se uchat ho gaya. Aap Hazrat Sheikh Maroof Rahmatullah Alayh  ke mureed ba safa  aur khalifa they. Aap ne inhen se zahiri o baatini aloom haasil kiye .

Aap ki Baghdad mein kabaria ki dukaan thi. Aik dafaa Baghdad ke bazaar mein aag lag gayi to logon ne aap se kaha ke aap ki dokaan jal gayi hai. Yeh sun kar aap ne farmaya chalo acha howa mein is fikar se azad howa. Jab logon ne jaa kar dekha to ird gird ki tamam dukanen jal chuki theen lekin aap ki dokaan mehfooz thi. Jab aap ne aisa dekha to jo kuch dokaan mein tha sab darvashon  aur zaroorat mandoon mein taqseem kar diya aur farmaya ke musalman bhaion ke sath nuqsaan mein munafqat karna waajbat mein se hai .

Aap ne dokaan mein parda daal rakha tha. Aap har roz aik hazaar rak-at namaz nafil ada karte they aur das dinar ke oopar aik nisf dinar se ziyada munafe nah letay they. Aik din aap ne saath dinar ke badam ikathay khreed liya aur sath hi bazaar mein badamon ka bhao charh gaya. Aik dalaal aap ke paas aaya aur mehngay damon aap se badam khareedney ki darkhwast ki aur kaha ke tamam badam mujhe beech dalye magar Hazrat Sheikh Sari Saqti Rahmatullah Alayh  ne farmaya ke mein ne Allah Tallah se ehad kya hai ke mein das dinar par nisf dinar se ziyada naffa nahi lon ga is liye mein tumhe yeh maal nahi beech sakta .

Hazrat Junaid Rahmatullah Alayh  farmatay hain ke mein ne Hazrat Sari Saqti Rahmatullah Alayh se ziyada kaamil kisi ko nahi paaya. 98 saal guzar gye is aalam mein ke zameen par pehlu taq nahi rakha. Bemari ki haalat mein bistar par daraaz honay ki soorat is se mustasna hai .

Aik martaba aik sharabi ko dekha jo nashay ki haalat mein madhosh zameen par gira para tha aur Allah Allah pukaar raha tha. Aap ne is ka munh pani se dhoya aur farmaya is be khabar ko kya khabar ke na pak munh se kis zaat pak ka naam le raha hai. Jab is sharabi ko hosh aaya to logon ne usay bataya ke Hazrat Sari Saqti Rahmatullah Alayh tashreef  laaye they aur tumhara munh dho kar chalay gaye hain. Woh sharabi  baais e sharam o nedamat ronay laga. Raat ko aap ne aik nadia e ghaibi suni ae Sari Saqti Rahmatullah Alayh tum ne meri khatir is sharabi ka munh dhoya hai mein ne tumhari khatir is ka dil dhoo dhiya hai. Jab aap masjid mein namaz ke liye tashreef  le gaye to aap ne dekha ke woh sharabi bhi namaz parh raha hai .

Jab aap aleel ho gaye to Hazrat Junaid Rahmatullah Alayh  aap ki ayadat ke liye tashreef  laaye. Aap ke paas aik pankha para howa tha. Unhon ne utha kar aapko jhilna shuru kar diya. Aap ne irshad farmaya ke Junaid Rahmatullah Alayh  usay rakh do kyunkay aag howa se ziyada roshan aur taiz hoti hai. Hazrat Junaid Rahmatullah Alayh ne arz ki ke mujhe kuch nasiyaat farmaayen aap ne farmaya khalq ki sohbat ki wajah se haq taala se kabhi ghaafil nah hona .

Aap 13 Ramzan al Mubarak 253 Hijri mein is dar e fani se rukhsat hue. Aap ka mazaar aqdas Baghdad Shareef mein Shoneez ke maqam par waqay hai .